Tera Aana,
Kuchh na keh ke chale jana...
Gawara nahin gawara nahin.
Har shabd par hak kho kar,
teri awaaz sun-ne ka bahana...
Ik chah ko zinda rakkha kar,
Har aah ko daba pana...
Gawara nahin gawara nahin.
Khali kandha, sooni aagosh,
Phir bhi aasuon ka ana...
Koi na hai, koi na dikhe,
Phir bhi ek ehsaas purana....
Gawara nahin gawara nahin.
Na koi seema, na koi bandish,
Magar hadon ko phir bhi paar kar jana...
Bhula ke aasun , bhula ke ghaav,
Jhooth mooth ka muskuraana...
Gawara nahin gawara nahin.
Khaali panna haath mein lekar,
Bin syahi ki zindagi ki kalam ko chalana...
Har raat ko kaali parchhayin ke sang,
Bhooli si ik dhun gungunana...
Gawara nahin gawara nahin.
Sirhaane se baaten karke,
Aakhon se paani chalkana ...
Aur thandi aahon ke sang mein,
Yadon ke chhaon me so jana ...
Gawara nahin gawara nahin.
Tera aana,
Phir meri yaadon ko sehlana...
Gawara nahin gawara nahin.
No comments:
Post a Comment